Saturday, June 25, 2011

Shaagird

Zaroori nahi ke har amal pe aap shukriya karen



Mazhab ke firqon ki bait baazi mein aap bhi kuch kahen



taalim lijie, lutf uthaien aur tayyari karen



dunia ki ulfaton se toh aap ...door hi rahen





Shukar

Baarish ki boondon mein aaj sab ghaam beh gaye



Hum toh badle mausam ki talab mein nikle the

Khushi

Zikar jo aagaya tha ..aapka meri mehfil mein



Kuch der hi sahi..raunak thi meri anjuman mein

Tuesday, June 14, 2011

HJ

Kehtein hai ke dheun ke beech dikhtein hain inko dost saaf
aur jaamon ke beech karte hain yeh sabke gunah maaf
Isi tufail ke zarie toh badhti hain dosti
aur isi ada se hote hain dushman past...inke khilaaf

Dost ke lie

"Chada hai aaj mere dost pe shayari ka shawaab
Ada hai uski alag aur.. sher hain uske nayaab
Suna hai mohabbat ke sitam se guzar rahe the woh
Warna zindagi ke lutf mein.. kahan se aata yeh azaab "

A tibute to MF Husain


Mazhab ke naam pe tum humko watan se bedkhal karte ho
Is ghar ki neev agar tum ho..toh daro-deewar hum se hai"



Jaza- good deeds, Ikhtiar - responsibility, Baatil - evil
"Jaza aur saza ka ikhtiar khud ba khud le dala
Baatil ne toh aaj Khudai...ka elan hi kar daala"



Rooh - soul, Parwaaz - fly , Rooh-parwaaz- die, mukammal - complete, sabar - content
"Rooh-parwaaz hote hi.ehmiat aai...aaj tumko nazar
sadion ki mehnat ka aakhir hua... aaj yeh asar
mukammail zindagi ke talb me basre the mere... char din
mukammal maut ke zarie hua ...aaj mujh ko sabar "

Nazro Karam

Teri Nazron ke zarie hum apna payaam dekhte hain
Teri maujoodgi mein hum apna jahan dekhte hain
mustaqbil toh banta hai mehnat aur mushaqqat se
teri amad se hum apna naya ayam dekhte hain

Sitamkhez khushi

Aaj humko mili ek ba-mashoor sitam,
Guftgoo aisi, ke kanon pe pada waram,
Rehen-sehen aisa, zaroorat pade na kabhi haram,
Zuban aisi ez, kaam kare na koi marham.

Jahan bhi mohtarma pahunchi, aawaz yahi aai
Ya Rab, hai ilteja, kar is tapish ko naram.

Zaahir thi baat itni, phool ne sajaye they kaante,
Aftaab ne apne aage, bichhai thi lail raatein,
Allama ne shuru ki thi, na ittefaq baatein,
Jadoogar ne chhupa rakhi thi, naayaab Karamaatein.

Ajeeb-taraz pe gori ne basayi thi yeh zindagi,
Ek choti si kalaf pe,badli theen saugatein

bibi, mashwara humara bus itna sa hi hai
Phool ka martaba kaanton se bada hai,
Aftaab ki roshni se, saja rozana jahan hai
Alama ki zubaan se, ilm ka noor bada hai

Toh Aaj, aap lelijie ek zarroori ahad
khushion ka padne dengi kabhi nahi Qahad